Friday, January 3, 2020

Ye mukhtasar si Shaam...




Ye mukhtasar si shaam
aur sitaron se bhara aasman... 
Itni chamak, aur kyun hai aaj isme itni jaan...!
Aaj ye raat... kyun hai lag rahi zeeshan?



Saath ho aap sabka agar...
toh jaise -
Khamoshiyon main bhi hai shor
in Andheron main ujala ghanghor 
Aab toh baas... baandhe rakhna hai ye ddoor.

Ekdum se thaam gayi jaise zindagi
Ekdam se ... tham gayi jaise Zindagi...
Chal rahi toh baas —
ye nadiyan hai
kuch sadiyaan hai
kuchon ki maan marziyaan hai...

Kya khuda se Humne aaj... 
ki yahin aarjiyaan hai..!?

Haathon main pakde hai jo jaam ... 
nasha nahi usme jitna 
usse kai jyada kar rahi hai ye shaam !

Aapke siva-e-yaaron... 
is mehfil ka... hai kya kaam !?
Aapke siva-e-yaaron 
Mukkamal kahan hai mera jahan !

Ye mukhtasar si shaam
aur sitaron se bhara aasman... 
Itni chamak, aur kyun hai aaj isme itni jaan...!

Aaj ye raat... kyun hai lag rahi zeeshan?
Aaj ye raat... kyun hai lag rahi zeeshan ?


-its SR...
07/12/2019


No comments:

Post a Comment